As salaamu alaii kumm wa rahmatullahi wa barakath,
There’s much to post but very little time on hands, for now here’s the latest *raw* recording of the poem ‘Dil Badal Dey’ by Maulana Zulfiqar Naqshbandi (damath baraka tuhum).
As far as I know, it was recorded in February 2015.
Here are the lyrics, you can do a search for the English translation.
Badal de Dil ki duniya dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Hawa-o-Hirs wala dil badal day
Mera Ghaflat mein dooba dil badal day
Badal de Dil ki duniya dil badal day
Khudaya Fazl farmaa dil badal day
Gunah gaari main kab tak Umr kaatoun
Badal day Mera rasta dil badal day
Sunoun Main naam Tera dharkanon Main
Maza aajaye Maula dil badal day
Hataaloun aankh apni Maa-siwa say
Jiyoun Mein Teri khatir dil badal day
Karoun Qurbaan Apni Saari Khushiyaan
Tu apna ghum ata kar dil badal day
Para houn Teray dar par dil shikasta
Rahoun kyu dil shikasta dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day
Tera hojaoun itni arzoo hay
Bas itni hay tamanna dil badal day
Meri faryaad sunlay Meray Maula
Banalay apna banda dil badal day.
* * *
Source of the lyrics: www.islamiclyrics.net
Coming up in the next few days in-sha-Allah, are the high quality recordings of Maulana Zulfiqar Naqshbandi’s (damath baraka tuhum) bayans delivered in Doha, Qatar.
Wa laii kumm as salaam wa rahmatullahi wa barakath